Adam Khan aur Durkhany ki Story Pashto adab ki sab se mashhoor aur ghamgeen ishqiya kahani hai, Ye kahani Swat kay Alaqy Bazdara ki hay.
Adam Khan aur Durkhany ki Mukammal Kahani:
1. Durkhany Aur Adam Khan ka Taaruf:
Adam Khan Swat ke ilaqy Bazdara ka ek bahadur naujawan aur Rubab ka maahir tha, Wo Rabab Ka Mahir hony ki waja say Bohat mashhoor tha, Durkhany ek bohat he khoobsurat aur izzat dar larki thi, jis ka talluq bhi Bazdara Gaon sy tha.
2. Pehli Mulakat:
Ek martaba Adam Khan apne doston ke sath shikaar par nikla hua tha, Es dauran Adam khan ki nazar Durkhany par pari aur wo pehli nazar mein hi us par Ashiq ho gaya, Durkhany bhi Adam Khan ko daik kar us phar ashiq ho gaye aur sei tarah dono mein mohabbat ho gayi.
3. Shadi mein Rakawat:
Jab Adam Khan ny Durkhany ke liye rishta bheja, lekin Durkhany ke baap ne inkar kar diya kyunke Durkhany ki mangni pehle hi us ke rishtedaar Payo Khan se ho chuki thi, Payo Khan ek lalach aur sakht mizaaj aadmi tha.
4. Durkhany ki Shadi aur Adam Khan ka Gham:
Durkhany ki shadi Durkhany ka marzi kaybaghair Payo Khan se kar di gayi, Is baat ny Adam Khan ko gham mai mubtala kar diya, Wo dunya se kanara kashi ikhtiyar kar gaya aur apne Rubab ke sath Ghar say nikal phara, Wo aksar Durkhany ke ghar ke qareeb ja kar dukh bhari dhunain bajata tha.
5. Judai aur Takleef:
Durkhany apne susral kay ghar bilkul khush nahi thi kyon kih Adam khan ki gham usy stati thi, Adam Khan ne apne doston ki madad se Durkhany ko nikalne ki koshish bhi ki, lekin dushmano ki sazishon ki wajah se wo nakaam raha, Is jung mein Adam Khan shadeed zakhmi bhi hua.
6. Kahani ka Dardnaak Anjam:
Adam Khan Nay Durkhany ki judai aur zakhamon ki taab na late hue inteqal kar gaya, JabDurkhany ko khabar mili kih Adam Khan inteqal kar gaye to wo ye sadma bardasht na kar saki Aur Adam Khan ki qabar par gayi aur wahin bohat gham aur takleef ki waja say apni jaan de di.
7. Mazar (Qabrain):
In dono ki qabrain Swat ke ilaqe "Bazdara" (Malakand) mein aaj bhi maujood hain, Kaha jata hai ke unki qabrain pehly juda juda thi lekin waqat guzarny kay sath sath unki qabrain bhi ek dosry ke qareeb agaye jo unki sachi muhabbat ki neshani hay,
Ahmiyat:
es kahani ko log bohat he pyar sy sunty hain Aur inko Pashto sqafat ka hissa manty hain, es par bohat sari filmein aur drame ban chuke hain, Agar aap mazeed tareekhi maloomat chahte hain to Khyber.org par Pashton folklore ke section ko dekh sakte hain.

